Roman Urdu:
★ Wo Shaksh Bhi Be-Deen Hai Jiss Me'n Ehd Ki Paabandi Nahee'n.★ Jo Log Mayaana-Ravi Ikhtyaar Kartay Hai'n, Ksi Kay MohtaaJ Nahee'n Hotay.
★ Insaan Ki SamaJh-Daari Yeh Hai Kay Wo Kifaayat-Shuaar Ho.
★ Ghalay Ko Rok Kr Bechnay Waala Mal'Oon Hai.
★ Makar, Dhoka Or Khayaanat Karnay Waala Dozakh Me'n Jaaye Ga.
★ Aurto'n Me'n Sub Say Achhi Aurat Wo Hai Jiss Ko Shohar Dekhay To Khush Ho Jaaye.
★ Buland-Himmati Imaan Ki Alaamat Hai.
★ Daulat-Mand Pr Hasad Naa Karo, Daulat Ki Laz'Zate'n Faani Or AarZi Hai'n.
★ Khuda Kay NaZdeek Behtareen Dost Wo Hai Jo Apnay Dost Kaa Kher-Khwaah Ho.
★ Jo Shakhs Aib-Joyi Karta Hai Aur AawaaZe'n Kasta Hai, Uss Kay Liye Barri Tabaahi Hai.
★ Sub Say Zyaada Neki Apnay Dosto'n Aur Hum-Nasheeno'n Ki IzZat Karna Hai.
★ Amaanat Say RiZq Barrhta Hai, Khayaanat Say Aflaas LaaZim Aata Hai.
★ Saadgi Imaan Ki Alaamat Hai.
★ Khud Ko MaZloom Ki Bad-Dua Say Bachaao. Iss Liye Kay Wo ALLAHA Say Sirf Apna Haq Maangta Hai, ALLAHA Haq-Daar Ko Apna Haq Maangnay Say Nahee'n Rokta.(Yaa'ni Ussay Uss Kaa Haq Zaroor Deta Hai)
★ Wo Shakhs Kaamil Momin Nahee'n Ho Sakta Jo Khud To Ser Ho Kr Khaaye Or Uss Kaa Hamsaaya Bhhooka Rahay.
★ Hayaa Imaan Ki Aik Shaakh Hai.
★ Jo Shakhs Jhooti Qasam Khaaye, Apna Thikaana Jahanum Me'n Banaa Lay.
★ Tum Me'n Say Achhay Log Wohi Hai'n Jo Apni Beewiyo'n Say Achha Salook Kartay Hai'n.
★ Daulat Kharch Kartay Raho, Roko Mat, Warna Ho Sakta Hai Kay ALLAHA Bhhi Daulat Kay DarwaaZay Tum Pr Band Kr Day.
★ ALLAHA Fasaad Ko Pasand Nahee'n Karta, Iss Liye Zameen Pr Fasaad Naa Karo.
★ Sakhi Gunaah-Gaar ALLAHA Kay NaZdeek Bakheel Aabid Say Behtar Hai.
★ Sardar Ban'nay Say Pehlay Ilm Haasil Karo.
★ Tamaam Buri Khaslato'n Me'n Sub Say Buri Do(2) Khaslatet'n Hai'n, Aur Wo Hai'n Intahai Bakheel Aur Intahaai BuZdili.
★ Jiss Tarah ALLAHA Nay Tum Pr Ehsaan Kiya Hai, Uss Tarah Tum Bhi Logo'n Pr Ehsaan Karo.
★ Jo ALLAHA Aur RoZ-E-Mehshar Kaa Yaqeen Rakhta Hai Ussay Keh Do Parrosi Kaa Khayaal Rakhay Aur Uss Ki Takreem Karay.
★ Naiki Aur ParheZ-Gaari Me'n Aik Doosray Ki Madad Karo, Aur Buraayi Me'n Kissi Kaa Saath Naa Do.
★ Mai'n Uss Shaksh Kay Mutaliq Bataa Doo'n Jiss Pr DoZakh Ki Aag Haraam Hai. Ye Wo Shakhs Hai Jo Narm MiZaaJ Aur Narm-Khoo Hai.




0 comments: